Monday 19 February 2018

History Of Islam Post 4

🌹 *ﷺ* 🌹 🕋🕋🕋🌹 *اَللّٰهُ أَكْبَر*🌹

*~~~~~~~✮~~~~~~~✮~~~~~~~*
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM*
*~~~~~~~✮~~~~~~~✮~~~~~~~*

    💠 *SARKAR KI AAMAD GROUP* 💠
●•●┄─┅━━━━★✰★━━━━━┅─┄●•●
           *📖History Of Islam📝*
●•●┄─┅━━━━★✰★━━━━━┅─┄●•●

*🅿art 4⃣*

*Adam Alaihissalam Ko Allah Ta'ala Ne Har Cheez Ka Ilm (Knowledge) Ata Kiya*

▶Quran Sharif Ki Surat -e- Baqrah Mein Hai Ki,

◀وعلم ادم السمآء کلھا ثم عرضھم علی الملائکت فقال انبئونی باسمآء ھٰؤلاء ان کنتم صدقین...(1)

➡Yani Ki, Aur Allah Ta'ala Ne Adam Ko Tamam Ashya (Cheezein) Ke Naam Sikhaye Phir Sab Ashya Farishto Par Pesh Karke Farmaya Sachhe Ho To Inke Naam Batao

*☀Hazrat Ibne Abbas, Akrama, Qatada, Mujahid Aur Ibne Zubair Radiallaho Ta'ala Anhum* Farmate Hain Ki,
Allah Ta'ala Ne Hazrat Adam Alaihissalam Ko Tamam Cheezo Ke Naam Sikhaye Yahan Tak Ki Bade Aur Chhote Pyale Ke Naam Bhi Bataye...(2)

*👉Aur Kuchh Hazraat Ne Hazrat Ibne Abbas Ki Taraf Qaul Mansoob Karte Huye Kaha Ki* Aap Ne Farmaya Ki Hazrat Adam Alaihissalam Ko Allah Ta'ala Ne "Ma Kana Wa Mayakun" (Jo Ho Chuka Aur Jo Hoga) Ka Ilm Ata Farmaya...(3)

*👉Imam Razi Ne Bhi Yahi Farmaya Ki* Hazrat Adam Alaihissalam Ko Tamam Cheezo Ka Ilm Ata Kiya Gaya...(4)

*📌Allah Ta'ala Ne Hazrat Adam Alaihissalam Ko* Tamam Cheezo Ke Naam, Tamam Zabanein (Languages), Tamam Hunar (Professions), Tamam Farishto Ke Naam Aur Deegar Tamam Cheezo Ke Naam Bata Diye

*📮Post Is Continue...*

─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*📚References :-*
(1) سورت البقرہ، ۳۱
(2) تفسیر ابی المسعود، علامہ ابوالمسعود دالعمادی رحمت اللہ علیہ، ج۲، ص۸۴
(3) روح المعانی، علامہ محمود آلوسی رحمت اللہ علیہ، ج۱، ص۲۲۴
(4) روح المعانی، ج۱، ص۲۲۴

●•●┄─┅━━━━★✰★━━━━━┅─┄●•●
   🌍 *SHARE WITH WORLD*  🌍
*=============================*
*```📚ISLAM SARE AALAM KE LIYE HAI*```

🌺💫🌺💫🌺💫🌺💫🌺💫🌺💫

No comments:

Post a Comment